Thursday 21 April 2016

Lajawab Istikhara-Free Online Istikhara

LAJAWAB ISTIKHARA

NAQSH NO 48 (LAJAWAB ISTIKHARA): Hamara yea mozu un Afrad k liye hai jinhen Shadi biah, Karobar, Investment, Admission, Bairon Mulk Safar ya is kisam k deegr mamlat main Faisla karnay main dushwari paish ati hai aur isi liye unhen bohat say nuqsanat say dochaar hona parta hai. Hum apko Istikhara karnay ka intehai asan tariqa batanay jaa rahay hain jis par amal paira ho kar aap apni zindagi k faislay intehai asani say sar anjam day saktay hain. Rohani Nuqta Nazar say Insan ki Kamyabi ka daromadar darust waqt main darust faisla karnay par hota hai. Wesay to har Insan zahri tor par darust faisla hi karta hai lakin phir bhi waqt darust na honay ki waja say nuqsanat say dochaar hota hai. Sawal yea paida hota hai k Darust Waqt konsa hota hai? Hamara mushahida hai k darust waqt wo hota hai k jab Insan Dua k liye hath uthaye tou uski dua foran Bargah E Ilaahi main pohanch kar Qabooliat ka darja pa lay. Yea waqt Insan k liye Darust Waqt kehlata hai aur aisa darust waqt Allah ki Rahmat ban kar aksar Insan par ata rehta hai lakin La Ilmi ki bina par Insan is say faida nahi utha pata.

READ%20MORE