LAJAWAB ISTIKHARA
NAQSH NO 48 (LAJAWAB ISTIKHARA): Hamara yea mozu
un Afrad k liye hai jinhen Shadi biah, Karobar, Investment, Admission, Bairon
Mulk Safar ya is kisam k deegr mamlat main Faisla karnay main dushwari paish
ati hai aur isi liye unhen bohat say nuqsanat say dochaar hona parta hai. Hum
apko Istikhara karnay ka intehai asan tariqa batanay jaa rahay hain jis par
amal paira ho kar aap apni zindagi k faislay intehai asani say sar anjam day
saktay hain. Rohani Nuqta Nazar say Insan ki Kamyabi ka daromadar darust waqt
main darust faisla karnay par hota hai. Wesay to har Insan zahri tor par darust
faisla hi karta hai lakin phir bhi waqt darust na honay ki waja say nuqsanat
say dochaar hota hai. Sawal yea paida hota hai k Darust Waqt konsa hota hai?
Hamara mushahida hai k darust waqt wo hota hai k jab Insan Dua k liye hath
uthaye tou uski dua foran Bargah E Ilaahi main pohanch kar Qabooliat ka darja
pa lay. Yea waqt Insan k liye Darust Waqt kehlata hai aur aisa darust waqt
Allah ki Rahmat ban kar aksar Insan par ata rehta hai lakin La Ilmi ki bina par
Insan is say faida nahi utha pata.